
Bharat mein Solar Power System, Electric Vehicle aur Portable Energy Storage System ki badhti hui demand ke kaaran Lithium Battery ka upyog kaafi zyada badh gaya hai. Kyunki Lithium Battery mein aapko Lead Acid Battery ke mukable zyada life cycle milte hain, fast charge hoti hai aur weight mein bhi kaafi halki hoti hai. Isiliye ab iska upyog Lead Acid ke mukable kaafi zyada badhta jaa raha hai.
Agar aap bhi apne solar system ke liye, electric vehicle ke liye ya portable energy storage solution ke liye lithium battery lena chahte hain, to aaj ke is article mein aapko 12V 150Ah ki lithium battery ki keemat ke saath-saath uske feature aur fayde bhi bataye jayenge.
12V 150Ah Lithium Ion Battery Price in India
Lithium battery ki keemat hamesha uski brand, warranty, cell type aur BMS ke upar nirbhar karti hai. Jitni acchi brand hogi, jitni zyada warranty degi aur jitni acchi quality ka cell ka upyog karegi, uski keemat utni hi zyada ho jaati hai. Isiliye Bharat mein aapko kai alag-alag company ki 12V 150Ah ki lithium battery dekhne ko milegi, lekin un sabki keemat mein kaafi zyada antar rahega.
Lekin har company 12V ki lithium battery ko alag-alag Ah mein banati hai. Kisi company ke paas aapko 80Ah ki battery milegi, kisi company ke paas aapko 100Ah ki battery milegi, aur kisi company ke paas aapko 120Ah ki battery bhi milegi. Lekin 12V / 100Ah ki lithium battery aapko 150Ah ki Lead Acid battery ke barabar backup degi. Isiliye 150Ah ki jagah 100Ah ki lithium battery bhi laga sakte hain.
Brand Name | Capacity | Warranty | Price |
UTL Solar | 12.8V / 100Ah | 5 Years | ₹18,904 |
Cellcronic | 12V / 80Ah | 3 Years | ₹26,650 |
Pulstron | 12V / 100Ah | 5 Years | ₹18,990 |
Pulstron | 12 V / 150Ah | 5 Years | ₹35,000 |
Suvastika | 12V / 100Ah | 3 Years | ₹25,750 |
Genus | 12V / 150Ah | 5 Years | ₹40,850 |
Upar aapko kai alag-alag company ki alag-alag Ah ki battery ki keemat batayi gayi hai, jise dekhkar aap andaza laga sakte hain ki 12V 150Ah ki lithium battery ki keemat kya rahegi. Lekin in companies ke alawa bhi Bharat mein kaafi companies hain jo lithium battery banati hain. Iske baare mein aapko local market se pata chalega, kyunki online sabhi companies apni battery nahi bechti.
Lithium Battery Lagane ke Fayde
Lithium battery lagane ke kaafi zyada fayde milte hain. Lithium battery aakar mein kaafi chhoti hoti hai aur weight mein bhi kaafi halki hoti hai, isiliye aap ise deewar par bhi laga sakte hain, jisse ki aapki jagah ki bachhat hogi. Lithium battery kaafi jaldi charge aur discharge ho sakti hai kyunki yeh high charging/discharging current ko support karti hai. Isiliye aap lithium battery par kaafi zyada load chala sakte hain.
Lead Acid battery par agar aap 1Kw ka load chalenge, to woh battery kaafi jaldi kharaab ho jaayegi aur aapko achha backup bhi nahi milega. Lekin lithium battery par aap 1Kw tak ka load bhi chala sakte hain, jisse uski life par koi galat prabhav nahi padta aur aapko backup bhi poora milta hai.
Lithium battery ke andar humein 3000 se lekar 6000 life cycles milte hain, isiliye lithium battery ki life lagbhag 10 saal tak bhi ho jaati hai.
Lithium Battery Lagane ke Nuksan
Lithium battery lagane ke fayde to kaafi hain, lekin saath hi iske kuch nuksan bhi hote hain:
-
Costly: Lithium battery ki keemat ek samanya Lead Acid battery se lagbhag do guna hoti hai, jisse ki aapko pehle zyada paise laga kar Lithium battery khareedni padti hai.
-
Overcharge/Overheat: Agar lithium battery ke andar acchi quality ka BMS na lagaya jaaye, to lithium battery overcharge ho kar overheat ho sakti hai aur uske baad phat jaati hai. Isiliye aapko kaafi jagah lithium battery phatne ki khabar dekhne ko milti hai, kyunki kuch companies apni lithium battery mein bahut hi kharab quality ka cell aur BMS lagati hain, jisse woh battery phat jaati hai.
-
Environment Effect: Kuch lithium batteries ki efficiency thande ilaakon mein kam ho jaati hai, aur jisse battery ki charging aur discharging dheemi ho jaati hai. Isiliye lithium battery lene se pehle aapko dekhna padega ki kaun si lithium battery kitne zyada ya kam taapmaan par kaam kar sakti hai.
-
Recycling Issues: Lead Acid battery ki tarah lithium battery ko abhi tak poori tarah se recycle nahi kiya jaa sakta, jiske kaaran battery khatam hone ke baad mein aapko lithium battery ki koi bhi resale value nahi milti.
-
Highly Sensitive: Lithium battery ke andar cell ke alawa BMS lagaya jaata hai aur is BMS ke andar kaafi zyada sensitive electronic components lagaye jaate hain. Agar kabhi bhi voltage mein koi dikkat aati hai to yeh BMS kharaab hone ka khatra rahata hai, jise repair karne ka bhi kaafi zyada kharcha aa sakta hai.
To yahan aap dekh sakte hain lithium battery lagane ke fayde ke saath nuksan bhi hote hain. Isiliye in sabhi nuksanon se bachne ke liye aapko ek acchi brand ki lithium battery leni chahiye, jisme aapko acchi warranty mile taki aap lamba samay tak tension-free ho kar lithium battery ka upyog kar sakein.
Ghar ke liye Kaun Si Lithium Battery Le
Agar aap lithium battery ka upyog inverter ke saath karna chahte hain, to aapko ek baat ka vishesh dhyaan rakhna hai ki aap kisi bhi inverter ke saath koi bhi lithium battery aise hi nahi laga sakte, jaise hum Lead Acid battery ko kisi bhi inverter ke saath laga dete hain. Kyunki lithium battery mein battery management system laga hota hai aur inverter ke andar alag se battery management system hota hai. Agar lithium battery ka BMS aur inverter ka battery management system sahi tarah se kaam nahi karega, to aapki lithium battery phat sakti hai.
Isiliye hamesha jis company ki lithium battery aap lena chahte hain, usi company ka inverter khareedein taaki aapko bhavishya mein kisi prakaar ki koi dikkat na ho. Lithium battery bhi aapko acchi brand ki leni hai jo market mein pehle se hi kaam kar rahi ho. Agar aap aise hi sasti lithium battery ke chakkar mein kisi bhi brand ki battery le lete hain, to aapko baad mein kaafi bada nuksan ho sakta hai.
Lithium Battery Kitni Badi Aapko Lenni Chahiye, Yeh Is Baatein Par Nirbhar Karega Ki Aapko Kitni Der Ka Backup Chahiye. 12V 100Ah ki lithium battery par 500W aapka load lagbhag 2 ghante tak chal sakta hai. To ab aapko dekhna hai ki aapko kitne watt ka load kitni der chalana hai, is aadhar par aapko battery ka chayan karna hai. Agar aap ek lithium battery ke upar 500W ka load lagbhag 4 ghante chalana chahte hain, to aapko 12V 200Ah ki lithium battery leni hogi.
Conclusion
Agar aap aisi battery dhoond rahe the jisse aapko lamba samay tak backup mile aur jaldi charge ho jaaye, jisme aapko kisi prakaar ki koi maintenance bhi na karni pade, to aapke liye 12 Volt 150Ah battery ek bahut hi accha vikalp hone wala hai. Chahe aap solar system ke liye battery lein, electric rickshaw ke liye lein ya energy storage system ke liye battery lein — sabhi mein aap lithium battery laga sakte hain. Aur market mein abhi aapko lagbhag ₹20,000 se ₹25,000 rupaye mein bade hi aaram se lithium battery mil jaayegi. Agar iske baare mein aap abhi bhi jaana chahte hain, to neeche comment karke pooch sakte hain.