
Best Voltage Stabilizers for 1.5 Ton 5 Star AC : Aaj Air Conditioner ka upyog har jagah kiya ja raha hai. Bade-bade sheher se lekar chhote se chhote gaon mein bhi aapko Air Conditioner mil jaayega. Zyadaatar gaon mein humein voltage fluctuation aur low voltage ki dikkat dekhne ko milti hai, aur kisi-kisi jagah par high voltage ki bhi dikkat dekhne ko milti hai. To in sabhi dikkaton se bachne ke liye hi voltage stabilizer lagana zaroori hota hai.
Agar aap voltage stabilizer ka upyog karenge, to Air Conditioner ko bahut hi smooth aur stable voltage milegi, jisse ki Air Conditioner ki life badh jaayegi aur aapka repair ka kharcha bhi bach jaayega. Agar aapka Air Conditioner voltage fluctuation ke kaaran kharaab ho jaata hai, to ise theek karwane ka kharcha lagbhag ₹10,000 se ₹15,000 tak aa sakta hai. Isiliye bhavishya mein aapke Air Conditioner ko koi bhi dikkat na ho, to aapko ek achhi brand ka, achhi quality ke voltage stabilizer ka upyog karna chahiye.
Best Voltage Stabilizers for 1.5 Ton 5 Star AC
Air Conditioner ke liye best voltage stabilizer kharidne se pehle aapko pata hona chahiye ki voltage stabilizer kaise kaam karta hai aur aapko kis tarah ke voltage stabilizer ki avashyakta hai.
Market mein humein kai alag-alag company ke, alag-alag capacity ke aur alag-alag voltage range par kaam karne wale voltage stabilizer milte hain.
Isiliye zaroori nahi ki sabhi Air Conditioner ke liye ek jaise voltage stabilizer ka upyog kiya jaaye. To voltage stabilizer lene se pehle aapko kuch mahatvapurna points ko dekhna hai, jo ki neeche diye gaye hain.
Voltage Range
Market mein humein kai alag-alag voltage range wale voltage stabilizer milte hain, jaise ki 150 volt se 280 volt tak kaam karne wale, 170 volt se 260 volt tak kaam karne wale, 100 volt se 290 volt tak kaam karne wale aur 90 volt se lekar 300 volt tak kaam karne wale.
Jitni zyada wide range mein kaam karne wala voltage stabilizer lenge, woh utna hi mehenga aapko milega. Isiliye aapko ek sahi range ke voltage stabilizer ka upyog karna hai. Agar aapke ghar par 150 volt voltage low ho jaati hai, to aap 130 volt se lekar 290 volt tak kaam karne wale voltage stabilizer ka upyog kar sakte hain.
Load Capacity
Jaise hum inverter par ek limit tak load chala sakte hain, isi prakar stabilizer par bhi aap ek limit tak hi load chala sakte hain. Agar aap dedh ton inverter Air Conditioner ke liye voltage stabilizer lena chahte hain, to 4 kVA ke voltage stabilizer ka upyog kar sakte hain. Agar aap dedh ton ke normal Air Conditioner ke liye voltage stabilizer lena chahte hain, to aap 5 kVA ke voltage stabilizer ka upyog kar sakte hain.
Transformer Coil
Market mein aapko do tarah ke voltage stabilizer milte hain. Ek mein aapko copper winding wala transformer milega, doosre mein aapko aluminium winding wala transformer milega. Agar aap budget-friendly voltage stabilizer lenge, to aapko aluminium winding wala lena hoga. Agar aap achhi quality ka voltage stabilizer lenge, to aapko copper wala lena hoga, jo ki thoda sa mehenga milega.
Safety Features
Voltage stabilizer hamare Air Conditioner ko surakshit rakhne ke liye banaya jaata hai, isiliye voltage stabilizer mein aapko kuch safety features ko bhi dekhna zaroori hai, jaise ki:
- Time Delay Function
- Overload Protection
- Thermal Overload Protection
- Digital Display
Top 5 Inverter Battery Brands in India
Top Stabilizer Brands for 1.5 Ton AC
Waise to Bharat mein kaafi brand ke voltage stabilizer aate hain, lekin kuch brand kaafi popular hain, jinki service bhi aapko achhi mil jaati hai aur unke paas kaafi wide range ke andar voltage stabilizer mil jaate hain, jisse ki aapko apne liye ek sahi voltage stabilizer ka chayan karne mein aasani rahegi.
AULTEN Digital Voltage Stabilizer
Sabse pehle number par aata hai AULTEN company ka 90 volt se lekar 280 volt tak kaam karne wala voltage stabilizer. Is par aapko 3 saal ki warranty milti hai aur aap ise kisi bhi 1.5 ton ke Air Conditioner par laga sakte hain, chahe inverter Air Conditioner ho ya non-inverter Air Conditioner, yeh sabhi par achhe se kaam karega.
Agar aapke ghar mein 90 volt tak ki bhi supply aa jaati hai to bhi yeh stabilizer aapke Air Conditioner ko chala sakta hai. Zyada voltage range mein kaam karne ke kaaran iski keemat thodi si zyada hai. Yeh aapko Amazon par lagbhag ₹6500 mein mil jaayega.
Microtek Pearl EM 4160+
Microtek company ke paas mein alag-alag range ke voltage stabilizer milte hain. 4160+ mein aapko 160 volt se 285 volt ki range milegi, aur is stabilizer par aapko 3 saal ki warranty bhi milti hai.
Saath hi, ismein ek digital display bhi di gayi hai, jis par aapko input aur output voltage dekhne ko milegi. Iske alawa, is stabilizer ke andar aapko low aur high cut off ka bhi feature milta hai. Aur Amazon par yeh ₹2300 mein aapko mil jaata hai.
V-Guard iMagno 410
Yeh voltage stabilizer 170 volt se 270 volt tak kaam karega. Agar aapko is range ke andar voltage stabilizer ki zaroorat hai, to yeh aapke liye ek perfect voltage stabilizer rahega.
Is par aapko do saal ki warranty milti hai, aur budget-friendly hone ke baad bhi aapko iske andar digital display milegi. Aap ise lagbhag ₹1950 mein kharid sakte hain. Iske alawa, iske andar intelligent time delay system bhi diya gaya hai, jisse ki ekdum se ek ka load voltage stabilizer par nahi aayega.
Conclusion
Voltage stabilizer dikhne mein ek chhota sa device hota hai, lekin aapke Air Conditioner ki suraksha ke liye bahut hi zaroori device hai, jo ki aapka mehenga Air Conditioner voltage fluctuation, low voltage, high voltage se bacha sakta hai.
Agar aap apne Air Conditioner ke liye ₹35,000 se ₹40,000 rupaye kharch kar sakte hain, to uski suraksha ke liye ₹4,000 se ₹5,000 aur bhi kharch kar dijiye, jisse ki aapke Air Conditioner ki life bani rahe aur bhavishya mein hone wale repair ke kharche se aap bache rahen. To phir se hum bata dein, 1.5 ton ke Air Conditioner ke liye 4 se 5 kVA ka voltage stabilizer best rahega.