
Cooler vs Air Conditioner : Kaunsa Hai Aapke Liye Best? : Jaise hi garmiyaan shuru hoti hain, waise hi hamare dimaag mein sabse pehle yahi sawaal aata hai ki humein Cooler kharidna chahiye ya Air Conditioner? Cooler aur Air Conditioner ka ek hi kaam hota hai hamare room ko thanda karna, lekin yeh dono alag-alag tarah se kaam karte hain aur dono alag-alag jagah ke liye hi best rehte hain.
Agar aap bhi apne liye Cooler ya Air Conditioner lena chahte hain to aaj ke is blog mein aapko poore detail mein bataya jaayega ki kaun sa kahaan ke liye aur kiske liye zyada faaydeman rahta hai.
Cooler aur Air Conditioner mein antar
Waise to Cooler aur Air Conditioner ka ek hi kaam hota hai — thandi hawa pradaan karna, lekin Cooler ko aap baahar khule mein bhi chala sakte hain, room ke andar bhi chala sakte hain. Iske viprit, Air Conditioner ko sirf room ke andar hi chalaya ja sakta hai kyunki Cooler ke kaam karne ka tarika Air Conditioner ke kaam karne ke tarike se bilkul alag hota hai.
Cooler kaise kaam karta hai
Cooler paani ke vaashpikaran ke tarike se hawa ko thanda karta hai. Yeh garm hawa ko khinchta hai aur paani mein bhigi hui pad mein se hawa ko guzarkar thanda karta hai aur is thandi hawa ko baahar nikaalta hai. Yeh hawa ko thanda karne ka bahut hi prakritik aur eco-friendly tarika hai.
Air Conditioner kaise kaam karta hai
Air Conditioner refrigeration cycle ka upyog karke hawa ko thanda karta hai. Yeh kamre ki garmi ko hatane ke liye compressed gas ka upyog karta hai, jisse ki yeh aardra mausam mein bhi bahut acche se kaam kar sakta hai.
Cooler aur Air Conditioner ki kimat
Sabse pehle hum kimat ki baat karenge kyunki humein Cooler ya Air Conditioner kharidne ke liye sabse pehle paise ki hi zarurat padti hai. To Air Conditioner ke muqable Cooler aapko hamesha sasta hi milta hai. Market mein aapko ₹4000 se lekar ₹30000 tak ka Cooler mil jaata hai.
Lekin Air Conditioner ki baat karein to market mein aapko ₹25000 se lekar ₹70000 tak Air Conditioner mil jaata hai. Yeh nirbhar karta hai ki aapko kitni zyada cooling capacity wala Air Conditioner chahiye.
Cooler mein humein zyada option dekhne ko nahi milte, sirf aapko alag-alag size ke Cooler dekhne ko milte hain. Lekin Air Conditioner mein aapko kaafi zyada alag-alag technology ke Air Conditioner mil jaate hain, jaise ki Window Air Conditioner, Split Air Conditioner ya Inverter Air Conditioner.
12V 150Ah Lithium Ion Battery Price in India
Cooler aur Air Conditioner ki Power Consumption
Air Conditioner ke muqable Cooler ki power consumption bahut hi kam hoti hai. Market mein aapko 100W se lekar 700W tak ki power consumption karne wale Cooler mil jaayenge. Wahin Air Conditioner ki baat karein to 1000W se lekar 3000W tak ki power consumption wale Air Conditioner market mein available hain.
Agar 200W wala Cooler ko aap 20 ghante chalayenge to yeh 4 unit bijli ki khapat karega. Aur baat karein Air Conditioner ki to 1.5 Ton ka Air Conditioner lagbhag 2000W tak ki bijli ki khapat karta hai. Agar aap ise 10 ghante bhi chalayenge to yeh lagbhag 20 unit bijli consume karega.
Air Conditioner aur Cooler mein kaun zyada thandi hawa deta hai
Cooler aur Air Conditioner dono hi thandi hawa dete hain, lekin Cooler ka upyog sookhe ilaakon mein kiya jaaye to zyada accha rehta hai. Lekin Air Conditioner kisi bhi mausam mein kaam kar sakta hai.
Agar aap samudra ke kinaare rehte hain to aapke liye Air Conditioner zyada accha kaam karega, aur agar aap registan wale shetra mein rehte hain to aapke liye Cooler bhi kaafi acchi cooling karega.
Cooler aur Air Conditioner ki Installation aur Maintenance
Cooler ko lagane ke liye aapko kisi bhi professional ki avashyakta nahi hoti. Aap asaani se kahin par bhi, kisi bhi room mein Cooler ko laga sakte hain.
Lekin Air Conditioner ko lagane ke liye aapko professional technician ki avashyakta hoti hai aur ise regular service ki bhi zarurat padti hai. Jiske kaaran Air Conditioner ke installation aur maintenance ka kharcha kaafi zyada hota hai.
Cooler aur Air Conditioner ka Vaatavaran par Prabhav
Cooler sirf paani ka upyog karke hawa ko thanda karta hai, isiliye yeh vaatavaran ke liye accha rehta hai. Lekin Air Conditioner ke andar refrigerants ka upyog kiya jaata hai, jiske kaaran vaatavaran par kaafi baar nakaratmak prabhav padta hai.
Nishkarsh
Agar aap ek sasta aur eco-friendly cooling option dhoond rahe hain, to aapke liye Cooler sabse accha rahega. Lekin agar aapko bijli ke bill ki koi chinta nahi hai, aapko sirf zabardast cooling chahiye, to aapke liye Air Conditioner sabse best rahega.
Lekin apne liye ek sahi Cooler ya Air Conditioner kharidne se pehle aapko apna budget aur room ka aakaar dekhkar hi kharidna hai, tabhi aap ek sahi Cooler ya Air Conditioner ka chayan kar paayenge.