Top 5 Inverter Battery Brands in India

Bharat jaise desh mein aaj bhi kaafi jagah par power cut ki dikkat rehti hai, jahan par inverter battery ka upyog karna bahut hi zaroori ho jaata hai. Lekin abhi Bharat mein inverter ke kaafi brand aa chuke hain, isiliye kaafi logon ko yeh nahi samajh aata ki kaun se brand ka inverter unke liye zyada sahi rahega.

Agar aap bhi apne liye ek best brand ka inverter lena chahte hain, to aaj hum aapko Top 5 inverter battery brands ke baare mein batane wale hain. Jinke product to acche hain hi, saath hi un brand ki service aapko lagbhag poore Bharat mein mil jaayegi. Lekin zaroori nahi ki har brand ki service har area mein aapko acchi mile.

Isiliye aapko hamare dwara bataye gaye brand mein se jis brand ka inverter lena hai, pehle us brand ki service ka pata aap apne area mein karein, taaki bhavishya mein agar aapko service ki zarurat pade to aap us brand ki service aasani se le paayein.

Best ITI Trades for Railway Jobs

Top 5 Inverter Battery Brands in India

Market mein humein alag-alag technology ke inverter aur battery dekhne ko milte hain, isiliye yahan par hum aapko alag-alag technology ke aadhar par hi alag-alag brand ke baare mein batane wale hain.

Jaise ki inverter mein aapko transformer based aur transformer-less technology ke inverter milte hain, aur battery ki baat karein to battery mein bhi aapko tubular, gel, aur lithium teen tarah ki battery wali brand milegi. To sabse pehle baat karte hain sabse zyada bikne wale inverter battery ke brand ke baare mein, jo ki hain transformer based inverter aur tubular battery ki brand.

1.Luminous

Aaj Bharat ke kone-kone mein aapko Luminous brand ke inverter battery dekhne ko mil jaate hain, aur Luminous brand bahut hi purana aur popular brand hai. Isiliye unke paas mein aapko har ek range ke inverter aur battery milne wale hain.

Jisse ki koi bhi customer apni zarurat ke anusar chhota ya bada inverter le sakta hai aur chhoti ya badi battery bhi le sakta hai. Service ki baat karein to Luminous brand ki service aapko poore Bharat mein bahut hi aasani se mil sakti hai. Isiliye yeh ek trusted brand hai.

2.UTL Solar

Solar system ke maamle mein UTL Solar bhi ek bahut hi jana-mana naam hai, jinke paas aapko solar se sambandhit har tarah ke inverter aur battery mil jaayegi. UTL Solar aaj poore Bharat mein high quality ke product ke saath mein apni service deta hai.

Jiske kaaran yeh bhi ek trusted brand ban chuka hai, aur pichhle lagbhag 30 saal se yeh market mein chal raha hai. Halanki UTL company ke paas transformer based inverter aur tubular battery ke saath mein latest technology ke inverter aur lithium battery bhi mil jaayenge.

3.Livguard

Inverter battery ke maamle mein aaj Livguard brand bhi peeche nahi hai. Livguard ke paas mein bhi inverter aur tubular battery ki wide range hai. Isi ke saath aapko Livguard ke paas mein e-rickshaw ke liye bhi battery mil jaati hai.

Yeh brand bhi apne high quality ke product aur acchi service ke liye jaani jaati hai. Aur abhi Livguard ne apne aap ko Livguard Solar 360 se reintroduce kiya hai, jisse ki yeh solar sector mein bhi ek kaafi acchi brand ban chuki hai.

4.Exide

Inverter battery ke maamle mein Exide brand bhi bahut hi purana aur trusted brand hai, jiske paas har tarah ke inverter aur battery mil jaate hain. Exide ke paas mein sirf inverter hi nahi, aapko e-rickshaw ke liye bhi battery mil jaayenge, aur Exide ke paas mein tubular ke saath lithium battery bhi milti hai.

Yeh brand purana hone ke kaaran ab aapke poore Bharat mein iski service bahut hi aasani se mil jaati hai. Aur Exide brand inverter ki bajay high quality battery ke liye zyada jaana jaata hai.

5.Eastman

Inverter battery ki baat ho aur Eastman ka naam na aaye, aisa ho nahi sakta, kyunki Eastman ke paas mein Bharat ki sabse badi tubular battery aa chuki hai, jo ki 400AH capacity ke saath mein aapko milti hai. Jisko bhi 8-9 ghante tak battery backup chahiye, uske liye yeh battery best rahegi. Isi ke saath sabse zyada warranty wali battery bhi aapko Eastman mein hi milegi. Abhi ismein kuch battery par 20 saal tak ki bhi warranty di ja rahi hai. Isiliye Eastman bhi ek bharosemand brand ban chuka hai.

In Brands ke Alawa…

Inke alawa bhi Bharat mein kaafi acchi-acchi brand aapko dekhne ko milti hain, jinki service aur inverter battery aapko lagbhag har jagah mil jaate hain, jaise ki Microtek, Okaya, Livfast, Amaron ityadi.

Ab baat karte hain kuch transformer-less aur lithium battery wale brand ke baare mein. Halanki zyadaatar brand Bharat se baahar ke hi hain, lekin unke product aapko Bharat mein mil jaate hain.

6.Deye

Abhi energy storage system ke maamle mein Deye company ke paas har tarah ke hybrid inverter aur lithium battery mil jaate hain. Inke hybrid inverter ke saath mein aap kitna bhi bada solar system tayar kar sakte hain ya energy storage system tayar kar sakte hain. Inke inverter aur battery ki khaas baat yeh hai ki unke inverter aur battery aapas mein parallel jud jaate hain.

Jisse ki aapko system ki load capacity aur battery backup ko badhane ke liye purane inverter battery badalne ki avashyakta nahi padti. Sirf aapko ek inverter ke saath mein ek aur inverter lagana hai aur battery ke saath mein ek aur battery lagani hai, jisse ki aapke system ki load capacity bhi dugni ho jaayegi aur backup capacity bhi dugni ho jaayegi.

Iske alawa unke sabhi product latest technology ke hain. App monitoring system aapko milta hai, aur Bharat mein aapko inke distributor har jagah mil jaate hain, jisse ki aap aasani se inka koi bhi product abhi Bharat mein kharid sakte hain.

7.Hoymiles

Micro inverter ke maamle mein Hoymiles company ka naam sabse pehle aata hai. Inke paas mein aapko abhi duniya ka sabse bada 5 kilowatt tak ka micro inverter bhi mil jaata hai. Isi ke saath Hoymiles company ke paas mein hybrid inverter aur lithium battery bhi mil jaayegi, jisse ki aap apni zarurat ke anusar kitna bhi bada energy storage system tayar kar sakte hain.

Other Brands

Inke alawa Bharat mein aur bhi kaafi zyada brand hain, jo ki Deye jaisi brand se apna inverter banvaati hain. Yaani ki inverter Deye company ka hi hoga, sirf apna naam uske upar likhwa deti hain. Is tarah ki brand ka inverter bhi aap le sakte hain, kyunki aapko yeh sabhi inverter Deye dwara hi banaye gaye hain. To aapko Deye brand jaisi quality in inverter mein bhi dekhne ko milegi.

Conclusion

To agar aap bhi power cut jaise samasya se pareshan hain ya apna koi heavy load inverter battery se chalana chahte hain, to upar batayi gayi kisi bhi brand ka aap inverter ya battery le sakte hain, jisse ki aapko power cut ke dauraan bhi accha battery backup milega.

Upar batayi gayi sabhi brand mein se kisi bhi brand ka inverter ya battery lene se pehle apne local market mein us brand ke baare mein pata kijiye. Iski service agar aapke area mein acchi mil jaati hai, tabhi us brand ka inverter aur battery lijiye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button